SEO Kya Hai Kaam Kaise Karta Hai? What is SEO in Hindi (2020) is ke bare me aaj hum baat karenge so hello freinds sawagat hai aapka aajke hamare is blog me to jayada time waste na karte huwe chaliye start karte hai
SEO Kya Hai (What is SEO in Hindi) Aur ye Blog ke liye kyu jaruri hai ? ye sawal aksar Bahut se naye Blogger ko Bahut Preshan Karta hai Aaj ke is Digital zamane me Agar Aap logo ke samne aana chahte hai tab online hi vo ek aisa jariya hai jaha aap ek sath unlimited logo se connect hokar apne Talent ko Duniye se share kar sakte ho
Yaha Chahe to aap khud ke videos create karke ya fir Articles write karke dono type ke content ke jariye logo tak apni Baat pahuncha sakte hai. Lekin aisa karne ke liye aapko search engines ke first pages me aana hoga kyuki yahi vo pages hai jinhe visitors jayada pasand karte hai aur Trust bhi.
lekin yaha tak pahunchna utna aasan kam nahi hai kyuki iske liye aapko apne Articles ka sahi way me seo karna hoga jisse vo Search Engine me rank ho sake. aur iski procces ko ho SEO kahte hai
Yu kahe to Blogging ki jaan hai seo. aisa isliye kyu ki aap chahe to kitni bhi acchi article likh le agar aapki article thik tarike se rank nahi huwi hai tab usme traffic aane ke sambhawna nahi ke barabar hoti hai aise me writers ka sara mehnat pani me chala jata hai.
Isliye aap blogging ko lekar serious hai tab to aapko SEO ke Bare mein jankari jarur rakhni chahiye. aisa karne se ye baad me aapke bahut kaam aane wali hai. seo ka waise koi rule nahi hote hai Balki ye kuch Google Algorithms ke upar aadharit hai aur vo nirantar badlte rahta hai.
Ek baat ka jarur dhayan de ki yadi koi aapse kahe ki vo ek bada SEO Expert hai tab use kabhi yakin na kare kyu ki aaj-tak koi bhi SEO par mastery nahi kar paya hai.
ye chiz hi aisi hai aur samay ke sath-sath aur jarurat ke hisab se ye badalta rahta hai lekin fir bhi SEO ke kuch Fundametals hai jo ki hamesa saman hote hai isliye ye jaruri hai ki Bloggers hamesha khudko naye seo tricks se updated rahe.
isse aapko market me chal rahe trends ke bare me pata hogi jisse aap bhi apne articals me jarur badlav la sakte hai jo ki baad me aapko rank karne me help karegi.
Aaj hum janenge seo ki jankari hindi mein ya seo kya hota hai? Thesarvar.com mein maine aapko blogging se related bahut si jankariya share ki hai jo aapke blog ko safal banane ke kafi kam aa sakti hai.
Lekin un sabhi chizo se bhi jyada jaruri chiz blogging ke career me safalta pane ke liye bahut hi mayne rakhti hai vo hai SEO. Aaj hum janenge search engine optimization kya hai aur ye blog ke liye kyu jaruri hai?
SEO Kya Hai - What is SEO in hindi
SEO ya Search Engine Optimization ek aisa taknik hai jisse hum apne page ko search engine ke top mein late hai search engine kya hai ye hum sabhi ko pata hai Google puri Duniya ka sabse popular search engine hai iske alawa Bing, Yahoo, jaise aur bhi search engine mojud hai seo ke help se hum apne ko sabhi search engine par No.1 position par rakh sakte hai.
jaise man lijiye hum Google mein jakar kuch bhi keyword type karte search karte hai to us keyword se related jitne bhi contents hote hai vo aapko google dikha deta hai. ye content jo hame nazar aate hain vo sabhi alag-alag blog se aate hai.
jo result hume sabse upar dekhayi deta hai vo Google par no.1 rank par hai tabhi vo sabse upar apni jagah banaye rakha hai. No.1 par hai matlab ki us blog mein SEO ka bahut acchi tarike se use kiya gaya hai jisse ki usme jyada visitors aate hai aur usi wajah se vo Blog famus ho gya hai.
SEO hamare blog ko google mein no.1 rank par lane me sahayta karta hai. ye ek taknik hai jo aapke website ko search engine ke search result par sabse upar rakh usme visitors ki sankhya ko badhati hai.
Aapka website search result mein sabse upar ho to internet user sabse pahle aapke site mein hi visit karenge jisse aapke site mein jayada se jayada traffic hone lagti hai. apne website pe Organic Traffic badhane ke liye SEO ka use karna bahut jaruri hai.
SEO ka full form kya hota hai
SEO ka full form hota hai (Search Engine Optimization)
SEO Blog ke liye kyu hai jaruri?
Aapne jan liya SEO Kya Hai, chaliye ab jante hai ki ye Blog ke liye kyu jaruri hai. kaise apne website ko logo tak pahuchane ke liye hum SEO ka istemal karte hai.
Man lijiye maine ek website bana liya usme acche-acche high quality contents bhi publish kar diya lekin agar maine SEO ka istemal nahi kiya to mera website logo tak nahi pahuch payega aur mere website banane ka bhai koi fayda nahi hoga.
Agar hum SEO ka istemal nahi karege to jab bhi koi user koi keyword search karega to aapke website mein us keyword se related agar koi content mojud hai to user aapke website ko access nahi kar payega na hi hamare website ke content ko database par store kar payega, jisse aapke website mein traffic aana bahut hi mushkil ho jayega.
SEO ko samajhna itna bhi muskil nahi hai agar aapne ese sikh liye to apne blog ko bahut hi behtar bana sakte hai aur uski value search engine mein badha sakte hai.
SEO ko sikh lene ke baad jab uska istemal apne blog ke liye karte hai to aapko uska result turant nahi dikhega iske liye aapko sabra ke sath kaam karte rahna hoga. kyu ki sabra ka phal mitha hota hai aur aapki mehnat ka rang aapko jarur dikhega.
jaise ki maine aapko pahle ji kah diya hai ki kaise ranking ke liye aur traffic ke liye SEO karna kyu jaruri ban jata hai. chaliye aap search engine optimization ke visay me aur adhik jante hain :
- Jyadatar user Internet mein search engine ka istemal apne sawal ke jawab pane ke liye karte hai aise mein vo search engine dwara dikhaye gaye top results ko hi jayada dhayan dete hai. aise mein agar aap bhi logo ke samne aana chahte hain tab aapko bhi SEO ki help leni hogi blog ko rank karne ke liye.
- SEO kewal search engine ke liye nahi hai balki acche SEO practices ke hone se ye user experience ko badhane mein help karta hai or aapke website ke usability ko bhi badhata hai.
- Users jayadatar top results ko hi trust karte hai aur isse us website ki trust badh jati hai. iskiye SEO ke bare mein janna bahut jaruri hai.
- SEO aapke site ke social promotion ke liye bhi bahut jaruri hota hai. kyu ki jo log aapke site ko Google jaise search engine mein dekhte hai tab vo jayadatar unhe social media jaise ki Facebook, Twitter, Instagaram, etc. mein share jarur karte hai.
- SEO kisi bhi site ke traffic badhane mein Mahatwapurn Bhumika ada karta hai.
- SEO aapko kisi bhi competition mein jarur aage rahne mein madad karta hai. For Example Agar do websites saman chize bech rahi hai, tab jo website seo optimized hoti hai vo jayada customers apne or khichti hai aur unki sales bhi badh jati hai or wahi dusri utna nahi kar pati hai.
Types of SEO in Hindi
SEO two prakar ke hote hai Onpage SEO aur dusra hai Offpage SEO. in dono ka kam bilkul alag hai chaliye jan lete hai.
- On Page SEO
- Off Page SEO
- Local SEO
On-Page SEO
On page SEO ka kam aapke blog mein hota hai. iska matlab hai ki aapke website ki thik tarah se design karna jo SEO friendly ho.
SEO ke rule follow kar apne websites mein template ka istemal karna. acche content likhna aur unme acche keyword ka istemal karna jo search engine mein sabse jayada khoji jati hai.
keywords page main sahi jagah karna jaise Title, Meta Description, content main keyword ka istemal karna isse Google ko janne mein aasani hoti hai aur jaldi aapke website ko google page par rank karne me help karta hai jisse aapke blog ki traffic badhti hai.
On Page SEO Kaise Kareyaha par hum kuch aise techniques ke baare mein janenge jinki help se hum apne blig ya website ko On Page SEO acchr tarike se kar sakenge.
1. Website SpeedWebsite speed ek bahut hi mahatwapurn line hai SEO ke Nazar se. ek survey se paya gaya hai ki kisi bhi visitor jayada se jayada 5 se 6 seconds hi kisi blog ya website par rahta hai.
agar vo isi samay ke bhitar nahi khula tab vo use chor dusre main Migrate ho jata hai. aur ye baat Google ke liye bhi lagu hoti hai kyu ki agar aapka blog jaldi nahi khula tab tak nagative signal Google ke pass pahunch jata hai ki ye blog utni acchi nahi hai ya ye jayada fast nahi hai. to jitna ho sake apni site ki speed acchi rakhe.
yaha maine kuch important tips diye hai jisse aap apni blog ya website ki speed fast kar sakte hai :
- simple aur attractive theme ka istemal kare,
- jayada plugins ka istemal na kare,
- Images ka size kam-se-kam rakhe,
- W3 Total cache aur WP super cache plugins ka istemal kare,
apni blog ya website mein idhar udhar aana jana aasan hona chahiye jisse koi bhi visitors aur Google ko ek page se dusre page me jane me koi pareshani na ho.
3. Title Tagapni website mein titlr tag bahut hi accha banaye jisse koi visitor use padhe to jald-se-jald aapke title par click karde isse aapka CTR bhi increase hoga. Kaise banaye apne title tag:- apne title me 65 word se jayada istemal na kare kyu ki google 65 words ke baad google search mein title tag show nahi karta hai.
4. Post ka url kaise likhehamesha apne post ka url aap jitna simple or chota ho sake utna chota rakhe.
5. Internal Linkye apne post ko rank karne ke liye ek behtarin tarika hai. isse aap apne related pages ko ek dusre ke sath interlinking kar sakte hai. isse aapke sabhi interlimked pages aasani se rank kar sakte hain.
6. Alt Tagapne website ke post mein images ka use jarur kare. kyu ki images se aap bahut sara traffic pa sakte hai isliye image ko istemal karte samay usme ALT TAG lagana na bhule.
7. Content, Heading aur keywordContent: ke bare mei jaise ki hum sab jante hai ki ye bahut hi mahatwapurn kadi hai. kyu ki content ko king bhi kaha jata hai aur jitni acchi aapki content hogi utne acche site ki valuation hogi. isliye kam se kam 800 word se jayada words ke content likhe. isse aap puri jankari bhi de sakte hai aur ye SEO ke liye bhi accha hai. kabhi bhi kisi dusre se content na churaye ya copy kare.
Heading: apne article ke headings ka khas khayal rakhna chahiye kyu ki isse SEO par kafi impact padta hai. Article ka Title to H1 hota hai aur iske baad ke Sub Heading ko aap H2, H3 etc. se likh sakte hai. iske sath aap focus keyword ka jarur istemal kare.
Keyword: aap article likhte samay LSI Keyword ka use kare. isse aap logo ke searches ko aasani se link kar sakte hai. iske sath important keyword ko BOLD kare jisse ki Google aur visitors ko ye pata chale ki ye jaruri Keywords hain aur unka dhayan iske taraf Aakarshit hoga.
yah the kuch point On-Page-SEO ke bare main kuch jankari
Off-Page SEO
Off page seo ka sara kaam blog ke bahar hota hai. off page seo mein hame apne blog ka promotion karna hota hai jaise bahut se popular blog me jakar unke article par comment karna aur apne website ka link submit karna ise hum backlink kahte hai. backlink se website ko bahut fayda hota hai.
social metwork site jaise Facebook, twitte, Quora par apne website ka attractive page banaye aur apne followers badhaye isse aapke website mein jayada visitors badhne ke chances hote hai.
bade-bade blog mein jo bahut hi mashhur hai unke blog par Guest Post submit kariye isse unke blog pe aane wale visitors aapko janne lagege or aapke website pa traffic aana start ho jayega.
Off Page SEO Kaise Kareyaha par aap logo ko kuch Off Page SEO Techniques ke bare mein bataunga jo ki aapke liye bahut upyogi sabit hoga aage chalkar.
1. Search Engine Submission: apni website ko sahi tarike se sare search engine me submit karna chahiye.
2. Bookmarking: apni website ya blog ke page aur post ko Bookmarking wali website me submit karna chahiye.
3. Directory Submission: apni blog ya website ko popular high PR wali Directory me submit karna chahiye.
4. Social Media: apni blog ya website ka page aur Social Media par profile banana chahiye aur apni website ka link Ad kardo like Facebook, twitter, LinkedIn par.
5. Classified Submission: Free Classified Website mein jakar apni website ka Free Advertise karna chahiye.
6. Q & A site: aap question and answar wali website me jakar koi bhi question kar sakte ho aur apni site ka link laga sakte ho.
7. Blog Commenting: apne blog se related blog par jakar unke post mein comment kar sakte hai aur apni website ka link laga sakte hai (link wahi lagana chahiye jaha website likha hota hai)
8. Pin: aap apne website ke images ko pinterest par post kar sakte hai yah ek bahut accha tarika hai traffic increase karne ka.
9. Guest Post: aap apne blog se related blog par jakar Guest Post kar sakte hai yah sabse accha way hai jaha se aap Do-Follow link le sakte hai aur vo bhi bilkul sahi tarike se.
Local SEO
Aksar log yah puchte hai ke local SEO kya hota hai? Meri mane to iska jawab wehi hai iske sawal mein hi chupa hai.
Local SEO ka agar vislesan kare tab ye do sabdo ka samahar hai Local+SEO. yani ki kisi local audience ko dhyan mein rakhkar kiya jane wala SEO ko Local SEO kaha jata hai.
yah ek aise technique hai jisme ki aapki website ya blog ko khyas tor se optimize kiya jata hai jisse ki serch engine par behtar rank kare ek local audience ke liye.
waise ek website ki help se aap pure internet ko target kar sakte hai wahi agar aapko ek particular locality ko hi target karna hai tab iske liye aapko Local SEO karna hoga.
isme aapko optomize karna hoga aapke city ke name wahi iske address details ko bhi sath mein optimize karna hoga. wahi ise detail me kahe tab aapko kuch aise tarike se apne site ko optimize karna hoga jisse ki logo ko kewal online hi nahi balki offline mein bhi aapko jan sake.
Local SEO Ka Exampleagar aapke pass ek local bisiness ho, jaise ki ek shop, jaha ki logo aapke yaha aksar aana jana ho, tab aise mein aap apne website ko optimize karte hai kuch aise ki jisse real life mein bhi log aapke pass aasani se pahuch sake.
yadi yaha par aap kewal apne hi kisi local area ko target karte hai aur usi hisab se aapke site ko seo optimized karte hai. tab is prakar ke SEO ko Local SEO kaha jata hai.
SEO Aur Internet Marketing mein Differnce kya hai?
Bahut se logo mein SEO aur Internet Marketing ko lekar bahut doubts hote hai. unhe lagta hai ki ye dono pray saman hai. lekin iske jawab mein hum ye kahunga ki SEO ek prakar ka Tool hai ise internet marketing ka ek hissa bhi kah sakte hai. iske istemal se Internet Marketing ko par kar pana bahuty hi aasan ho jata hai.
SEO Aur SEM main kya Differnce hai?
SEO aur SEM mein jo mukhya antar hai vo ye ki SEO ka mahatwapurn hissa hai SEM ka. chaliye dono SEO aur SEM ke bare jante hai.
SEO - Search Engine Optimization: ek process hai jiske dwara ek blogger apne blog ya website ko kuch is prakar se optimize karta hai kijisse vo blog ke article ko Search Engine mein rank kar sake aur waha se apne blog par free traffic la sake.;
SEM - Search Engine Marketing: ek marketing process hai jiske dwara aap apne blog ko search engines mein jayada visible bana sakte ho jisse aapko traffic aaye chahe vo free traffic (SEO) ho ya fir paid traffic (Paid Search Advertisement)
SEO ka mukhya uddesya hai ki aapka blog-website thik dhang se optimize ho sake take search engine mein better ranking prapt kar sake wahi SEM se aap SEO ki tulna mein jayada chiz prapt kar sakte hai kyu ki ye kewal free traffic tak simit nahi balki isme dusre methods bhi samil hai jaise ki PPC Advertising etc.
SEO ke Bare mein Jankari (Terms)
Yadi aapka koi blog hai ya koi website hai tab to aapko Basic SEO ke bare mein bahut kuch pata hoga ki ye kaise kam karta hai lekin mujhe pata hai aap mein se aise bahut sare log hai jinhe ki basic seo ke bare mein bhi kuch jankari nahi hai.
isliye maine socha ki kyu na aap logo ko kuch bahut hi mahatwapurn SEO Terms ke bare mein jankari de di jaye jisse ki aapko bhi iske bare mein pata chal sake.
- Backlinik: inke inlink ya simply link bhi kaha jata hai ye ek hyperlink hota hai kisi dusre website mein jo ki aapke website ke taraf ishara karta hai. Backlinks seo ke nazariye se bahut hi mahatwapurn hota hai kyu ki ye kisi bhi Webpage ki search ranking ko directly influence karta hai
- Page Rank: pagerank ek algorithm hai jise ki google istemal karta hai ye anuman lagane ke liye ki web mein kon-kon si Relative important pages sthit hai.
- Anchor Text: kisi bhi backlink ka anchor text ke prakar ka text hota hai jo ki clickable hoya hai yadi aapki anchor text mein aapka keyword mojud hai tab to ye aapko SEO ke dristi se bhi kafi help karega
- Title Tag: title tag mukhya rup se kisi bhi webpage ka title hota hai aur ye bahut hi mahatwapurn factor hai Google's search Algorithm ke liye.
- Meta Tags: title tag ke jaise hi meta tag ka istemal se searh engines ko ye pata chalta hai ki pages mein content mein kya sthit hai.
- Search Algorithm: google's search algorithm ki madad se hum ye pata kar sakte hai ki pure internet mein kon si webpages relevant hai lagbhag 200 algorithms kaam karti hai google ke search algorithm mein.
- SERP: iske full form hai search engine results page ye basically unhi pages ko show karta hai jo ki google search engine ke hisab se relevent ho.
- Keyword Density: ye keyword density se pata chalta hai ki kitni baar koi bhi keyword article mein kitni baar istemal ki gayi hai. keyword density seo ki dristy se kafi mahatwapurn hai,
- Keyword Stuffing: jaise ki maine pahle kaha ki keyword density seo ki dristy se kafi mahatwapurn hai lekin agar koi keyword ko jarurat se jayada use kiya jaye to use keyword stuffing kahte hai. ye Nagetive SEO kahlata hai kyu ki isse aapke blog par kharab asar padta hai.
- Robots.txt: ye jayada kuch nahi bas ek file hoti hai jisse ki Domain ke Root mein rakha jata hai. iske use se search bot's ko ye suchit kiya jata hai ki website ki Structure kaisi hai.
How to submit xml sitemap in Google Search Console How to add Autometic Table of Content in Blogger
SEO Hindi Main
Aap sab samajh hi gaye honge ke SEO kya hai (what is seo in hindi) yadi aapke man me is article ko lekar koi bhi doubts hai ya aap chahte hai ki isme kuch sudhar hona chahiye tab iske liye aap niche comments likh sakte hai.
Final Word
Aasani se ab aap SEO kya hota hai ka jawab be jhijak de sakte hai. aapke inhi vicharo se hame kuch sikhne aur kuch sudharne ka moka milega. yadi aapko meri yah article Search Engine Optimization ki jankari hindi main accha laga ho ya isse aapko kuch sikhne ko mila ho to aap apna feedback jarur de aur is post ko apne Social Account mein share jarur kare.
You are welcome to share your ideas with us in the comments! Please do not comment on any spam link in the commentbox!
Schema ke bare mein apki kaya rai hein?
जवाब देंहटाएंSoumik Ghosh Ji Schema ke bare me meri rai hai ki Kisi bhi website Owner ko apne site ki SEO karne me ise ignore nahi karna chahiye Schema Markup hamare site ki [CTR click throw rate] ko increase karti hai aur ye user expreiance ke sath-sath Search Engine ke liye Mahatvapurn role play karta hai etc.
हटाएंWhat a fantabulous post this has been. Never seen this kind of useful post. I am grateful to you and expect more number of posts like these. Thank you very much. tiger energy biscuit
जवाब देंहटाएंThank you keep visiting
हटाएंIt is a great website.. The Design looks very good.. Keep working like that!. dofollow backlink
जवाब देंहटाएंThanks for your valuable feedback
हटाएंThis particular papers fabulous, and My spouse and i enjoy each of the perform that you have placed into this. I’m sure that you will be making a really useful place. I has been additionally pleased. Good perform! high da backlinks
जवाब देंहटाएंHey Shaikuu thanks for reading my article keep visiting and please share my post with your friends on social media
हटाएं