Paise transfer karne ke bahut Sare tarike hote hain Usi mein se ek hota hai Cheque bahut Sare log Cheque fill karna Ya bharna Nahin Jante Hain ya fir check fill karte samay Aisi Koi galti kar dete Hain jisse Unka check cancel ho jata hai So Aaj ki is post mein Main step by step batane wala hun ki Bank Cheque Kaise Bharte Hain Correctly check fill kaise kiya jata hai aur aur sath hi main aapko yah bhi batane wala hun cancel cheque kis liye liya jata hai aur cancel cheque Kaise Bana sakte hai, To Chaliye Shuru Karte Hain.
Yahan per ham State Bank of India ka check bharna Sikh rahe hain Agar aapka koi dusra Bank hai to bhi aap iss post ko follow Karke Kisi bhi Bank ke check ko aasani se Bhar sakte hain.
Bank Cheque Bharte time kuch baato ka dhyan rakhna chahiye
- First yah sunischit karle ke kon se date dalne hai aisa isliye ke man lo kisi ko paise dene hai June me aur aap January me hi check jaari kar diye date bhi january ka daal diya ab aise samne wala June me paise withdraw nahi kar payega lekin usse pahle jarur kar payega apne Payment Date Creteria ke andar hi rakhe.
- Second Uska legal name pata hona chahiye chahe kisi person ka ho ya Company ka jiske liye issue kar rahe ho Legal name hi daale.
- Third Amoumt sunuschit karle ke Exact kitna Amount Pay karna hai.
- Cheque Sleep ke andar pure saf-saf likhe kisi bhi tarah ka cut na lagaye
In sabhi chizo ke baad Ab Aap Cheque Bharne ke liye Ready hai iske liye niche Steps ko follow kare.
Bank Cheque Bharna Sikhe
- Date - Yaha date dalna hai sahi-sahi daale jab aap ek baar date mention kar lete hai iske baad aapko 3 month ke andar hi paise nikalne hote hai 3 month ke baad cheque Invalid mana jata hai fir wo kisi kaam ka nahi rahta.
- Pay - Name Likhe jo Legal ho (Yaha par aap name bharne se pahle yeh sunischit karle ki kiske name se check banana hai ya self ke liye bharna hai.)
- Rupees - Amount Words (Shabdon) me likhe kitna Withdraw karna hai ek example just niche bataya hai use dekhe.
- ₹ - Yaha iss box ke andar aapne jo amount word me likhe hai usko Number. me yaha likhe.
- Signature - Apna sign karte time dheyan rahe ke Signature wale jagah par upar side karne hote kuch log niche kar dete hai aisa nahi karna chahiye.
- Agar Aap chahte hai ke iss check ke paise sirf Account ke through Withdraw ho to Uper Left Corner me 2 line khinch le aur A/C Payee Likh de (Agar nahi chahte to iss step ko Avoid kare.)
Example:- Six Thousand Rupees Only /- [ ₹ 6000 /- ]
Cheque Bharne Ke Baad Kya Kare
![]() |
Cheque Notebook me Entry kare |
Jab-Jab Aap check bharte hai un sabhi ko cheque sleep notebook me entry jarur kare isse yah hoga ke koi bhi check ko aap cancle karana chahte hai to us notes me entry kiye gaye Cheque No. ki madad se kar payenge Dhyan rahe ye tabhi mumkin hai jab tak samne wale ne cheque se money withdrawal na kiya ho.
Cancel Cheque Kaise Bhara Jata hai
![]() |
Cancel Cheque Bharna Sikhe |
Cancel Check bharna bahut hi aasan hota hai isme sirf bich me ek line khinch kar usme Cancel Likh diya jata hai aur Signature karna hota hai to iss tarah cancel cheque bana sakte hai aur jaha bhi manga gaya hai waha par de sakte hai.
Cancel Cheque ka use kaha hota hai
- First Purpose Cancel check ka demand aapse kai jagaho par kiya ja sakta hai Iska main purpose aapke Bank Account Details ko Verify karna hota hai kyu ke ek cheque par aapka A/C no., Apka Name, Branch ki Address, IFSC Code, MICR Code, sabhi likha huwa hota hai to aapki banks ki sabhi details ko sahi tarike se verify karne ke liye manga jata hai.
- Second Purpose hota hai cancel cheque ka aapke Signature ko Verify karne ka kuch jagaho par aapse isliye manga jata hai kyu ke wo aapke Signature ko Verify kar sake.
Iss tarah aap kisi bhi Banks ke Cheque ko aasani ke sath bhar sakte hai.
Also Read:- Kisi Bhi Cheque se Paise Kaise NikaleFinal Word
Ummid hai aapko hamari yeh article Bank Cheque Kaise Bharte Hain pasand aaya hoga hamari puri koshish rahti hai ke aapke sabhi sabhi sawalo ke jawab de sake fir bhi agar hamse kuch cover na huwe ho ya aapka koi sawal ho to zarur comment kare.
Aur sath hi apne friends ya social media par iss post ko share kare Good Bye.
You are welcome to share your ideas with us in the comments! Please do not comment on any spam link in the commentbox!