Hello! Bahut sare Bloggers ka yeh Sawal rahte hai ke Blogger Theme Change Kaise Kare Aaj ki is post mein hum Sikhenge Blog me Theme Upload Karke Change kaise karte hai Ya how to install blogger template.
Humne ek Post me jana tha ke Blogger ki help se apni website kaise banaye aur aaj hum janenge ke apne website (blog) ka Look - Design kaise Badalte hai ek professional website ki tarah Design karna sikhenge.
How to add custom theme in blogger
Friend yaha hum un 2 Method ke bare mein janenge jiske through se aasani ke sath Blogger ke Theme Change ya Upload kiya ja sakta hai aur use ek Professional Website main badla ja sakta hai, Hamare is article ko follow karke aasani se Blogger ke new Dashboard mein theme change kar sakte hai.
Theme Change Karne se Pahle in Baaton ka Dhyan Rakhe
- Agar aapne ek new Blog Create kiya hai to aap sidha Template Change kar sakte hai koi issue nahi hai, Lekin Agar aapka Blog kuch time Purana hai jisme aapne pahle Work bhi kiya huwa hai tab aapko in baaton ka khayal rakhna chahiye.
- Theme Badalne se pahle aapko apne Purane (OLD) Template ka BackUp Zarur lena chahiye agar aapne us site pe kaam kiya ho to isse hoga ye ke Ab jo theme upload karenge agar usme koi dikkat aaye to firse hum old theme upload kar sake isliye backup hona zaruri hai.
- Thik se Decide karle ke yahi theme use karna hai nahi to bahut se bloggers baar-baar theme change karte hai isse na to wo kaam kar pate hai aur na hi site grow karegi kyu ki theme change karne se site ka SEO pe asar padta hai.
Professional Theme Choose Kare
Ek Professional Template (theme) ka selection aasani se kar sakte hai Jisme niche bataye gaye sabhi feature ho. waise yaha par sare feature hum share nahi kar rahe lekin itne features kafi hota hai kisi bhi template ko professional banane ke liye.
Professional Theme Choose Kaise Kare
- SEO Friendly (Yani Seo Optimized Template hona chahiye)
- Responsive ( Mobile friendly zarur hona chahiye aur sabhi type ke Device me fit aaye aisa theme select kare)
- Easy to use (Use karne main koi pareshani nahi hone chahiye)
- Speed Up (speed achi hone chahiye jisse webpage load jaldi ho jaye)
- Latest Feature (Ha latest feature based theme choose kare wo aapko new template mein mil jayegi)
Agar aap in baaton se santust hai to ready hain Blogger mein theme change karne ke liye chaliye jante hai kaise karte hai uske liye niche steps ko follow kare.
Method 1 - Blog me template kaise upload kare
Is method se hum .xml file upload karke template change karenge uske liye aap mere bataye huwe Step ko follow kare.
- Apne Blogger Dashboard mein Login kare
- Theme Section par click kare
- Three Dot par click kare
- Restore par click kare
Jaise hi Restore par click karenge aapke samne ek Popup Window open hoga kuch is tarah Niche image me dekhe.
Simply aapko Upload par click karna hai uske baad Folder open hoga jaha par theme rakhi hai us Folder ko khole aur .xml file Choose karke upload karde Ab aapka Template puri tarah se change hokar ready hai and next second method se change kaise karte hai wo bhi dekhe.
Method 2 - Blogger theme change kaise kare
Is method main hum HTML editor se theme change karna sikhenge uske liye to aapko mere steps ko follow karna hoga to chaliye dekhte hai kaise.
- Blogger Dashboard mein Login kare
- Theme Section par jaye
- Three Dot par click kare
- Edit HTML par click kare
Ab aapke samne Blogger ka theme editor open ho jayega niche image dekhe kuch is tarah.
- Simply aapko karna yeh hai ki Select All karke sabhi code ko Delete kar dena hai. uske baad apne Computer Storage me jaye jaha par theme rakhi hai jane ke baad .xml file ko kisi Code Editor ya Notepad me open kare and Select All karke Copy karle. Aur Blogger theme editor mein jakar sabhi code ko Paste karde
- Then Theme Save karde and Done is method se bhi aapka template change hokar use karne ke liye ready hai.
Dekha aapne Blogger mein theme change karna ya upload karke install karna kitna easy hai
Blogger Template Change kyu kare?
Blogger template change karne ke bahut sare reason ho sakte hai Jaise.
- Template ka look professional nahi hai
- Body Design acha nahi hai
- Sare Feature nahi hai usme
- Widget less theme hone ke karan
- Font style readability sahi nahi hai
- Speed jayada hai theme mein
- Article sahi se nahi dikhte
- Customize karne me problem hoti hai
- Use karke khush nahi hu
- Post thumbnail show nahi karte
- Interface ghatiya hai
- Redirect kar rahi hai dusre site par
- Free version tha
- Premium version maine buy kar liya hai
- etc.
Blogger theme change kyu nahi kare?
Is sawal ka jawab simple hai agar aapka website bahut purana hai ya aapke template me kisi bhi tarah ki koi preshani nahi hai to theme change na kare agar aap begginner hai to, Aur Blogging mein pro hai to aapko sabhi chiz ki jankari hogi hi change bhi karoge to handle kar hi loge.
Also Read:-Final Word
Hamari hamesa se yahi koshis raha hai ki hum apne user se sahi aur genuine jankari share kare kyu ke unke sabhi sawalo ke jawab aasani se solve ho jaye ummid hai hamari yeh article Blogger Theme Change Kaise Kare zarur pasand aaya hoga.
Hamare is post ko apne friends ke sath social media me share karna na bhule aur aapke koi sawal ya sujhaw ho to hamare comment section mein likhe Good Bye.
You are welcome to share your ideas with us in the comments! Please do not comment on any spam link in the commentbox!