Type Here to Get Search Results !

Ads Area

Blog Post Mein Image Thumbnail Size Kitna Rakhe

0

Hello! Aaj ke iss post mein Blog Post mein Thumbnail ka size Kitna Rakhna Chahiye ye Batane wala hu Bahut sare new bloggers ko pata nahi hota ke wo apne post mein kis type ka image size ka use kare aur yahi reason hota hai ke jab wah apne post ko social media mein share karte hai to Thumbnail Thik se show nahi hote Perfect Thumbnail Size For Blog Post Images.

Perfect Image Size In Blog Post

Aap ek acchi size ka image banana sikh jayenge uske liye hamari yah post ko puri padhe.

cht-toc

Blog Post Image Thumbnail Perfect Size

Agar aap bhi ek blogger hai aur apne blog main images add karte hai to aapke bhi man mein yah sawal aate honge ke hum jo images use kar rahe hai uski perfect size kya honi chahiye jo sabhi jagah thik se set bhaithe i mean show kare ji ha agar aap iska dhyan na rakhe to aap bahut badi galti kar rahe hai

Ji ha Actually hota kya hai ki hum kisi bhi image size ko apne blog mein use kar lete hai aur jab use Social Media par share karte hai tab wah image jo Thumbnail ke roop mein set rahti hai wo Cut Dikhayi deta hai ya Dikhayi hi nahi deta isliye hame apne blog main sahi size ke image ko use karna bahut zaruri hai.

Agar aap bhi apne blog mein Ek Aisa size wala image add Karna chahte hain jo sabhi jagah Ek dam perfect fit aaye to iss post ko last tak padhe

Image Size Kitne Type Ke Hote Hain

Aapki information ke liye main bata du ke Image Size 2 Type ke hote hai Bahut Sare logo ko iss par bhi doubt hota hai to chaliye aaj main aapko iska bhi clear kar deta hu.

  1. File Size Jab Hum File Size ke baare mein baat karte hain to iska matlab yah huwa ke iss file ko load hone mein kitna data use hota hai jaise koi bhi photo kitnekb/mb ka hai wo uski File Size hoti hai
  2. Pixel Size Jab hum Pixel Size type ke bare main Baat Karte hai to iska Matlab yah Hota hai ki us image ki Width Size/Height Size Kitni hai Example - Youtube Thumbnail ki Size w=1280/h=720 hoti hai koi bhi image jitna jayada Pixel ka Hoga uski File Size utna hi jayada Hoga

Mujhe Ummid hai ab aapko File Size Or Pixel Size main Difference Pata Chal Gaya Hoga.

Blog Post Image Thumbnail Ka Width/Height Size Kitna Rakhe

Ab Baat kar lete hain Blog Post ki Image Size Kitna rakhe, Aap kisi bhi Photo Editor ka use kare Deosnt Matter Lekin Hamesha iss Baat ka Khyal rakhe ki uss Image Ki File Size 100 kb se Kam (Less) Rakhe And uski Width=640 px To Height=460px Hi rakhe Aur Ha Aap Chahe to Width=1280 px To Height=920 px Ka bhi Rakh sakte hai

Lekin Iss Baat ka Khayal Rahe Aapki Image Ki File Size Less Than 100 kb se kam Rahe Jitna Kam kb ka image hoga Load hone mein utna hi jaldi hoga isse aapki site loading acchi rahegi aur post ki ranking bhi improve hogi

Upload Karne SePahle Compress Kare

Blog Post main images Upload karne se pahle compress kare matlab uski file size ko kam kare aapko online bahut sare aise website mil jayenge jo images ki size ko compress karti hai Simple aap wah apne images ko load kar use Compress kar sakte hai.

Final Word

Freinds aaj hamne sikha ke Blog Post Thumbnail ki Size Kitni Honi Chahiye Bas Aap mere bataye gaye sabhi chizo ka dhyan rakhenge to aap bhi apne blog mein ek accha Image upload kar payenge jo sabhi jagah fit dikhenge Aaj ke liye itna hi baki apna khayal rakhna

Aur hamari iss post ko jhelne ke liye shukriya fir milte hai kisi aur post mein tab tak ke liye Good Bye.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ